haal-e-dil is tarah chhupata hun
hāl-e-dil is tarah chhupātā huuñ
jab bhī miltā huuñ muskurātā huuñ
raat bhar ḳhvāb jo sajātā huuñ
din nikaltā hai bhuul jaatā huuñ
mere kamre meñ sirf kāġhaz hai
maiñ charāġhoñ se ḳhauf khātā huuñ
āj-kal vo bhī kuchh nahīñ kahtā
maiñ bhī ḳhāmosh lauT aatā huuñ
ūñche logoñ meñ baiTh kar maiñ bhī
apnī auqāt bhuul jaatā huuñ
jvār-bhāTā mirī ragoñ meñ hai
maiñ samundar sameT laatā huuñ
kis kī bāhoñ meñ TūTnā thā mujhe
kis kī bāñhoñ meñ chhaTpaTātā huuñ
chāñdnī jhūltī hai shāne par
chāñd ko god meñ khilātā huuñ
raat kaTtī hai āsmānoñ par
din ko maiñ bakriyāñ charātā huuñ
apsarā.eñ mujhe bulātī haiñ
devtāoñ ko maiñ bulātā huuñ
khet to paT ga.e haiñ lāshoñ se
ret meñ sabziyāñ ugātā huuñ
haal-e-dil is tarah chhupata hun
jab bhi milta hun muskuraata hun
raat bhar KHwab jo sajata hun
din nikalta hai bhul jata hun
mere kamre mein sirf kaghaz hai
main charaghon se KHauf khata hun
aaj-kal wo bhi kuchh nahin kahta
main bhi KHamosh lauT aata hun
unche logon mein baiTh kar main bhi
apni auqat bhul jata hun
jwar-bhaTa meri ragon mein hai
main samundar sameT lata hun
kis ki bahon mein TuTna tha mujhe
kis ki banhon mein chhaTpaTata hun
chandni jhulti hai shane par
chand ko god mein khilata hun
raat kaTti hai aasmanon par
din ko main bakriyan charaata hun
apsaraen mujhe bulati hain
dewtaon ko main bulata hun
khet to paT gae hain lashon se
ret mein sabziyan ugata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.