haal-e-dil kis-kis se hum sajha karen
hāl-e-dil kis-kis se ham sājhā kareñ
aur kitne dar pe ab sajda kareñ
ghup añdherā hai to phir aisā kareñ
apnī palkeñ aap hī kuchh vā kareñ
dūsroñ kā kuchh bhalā ho jā.egā
aa.iye apne liye achchhā kareñ
be-sar-o-pā hai hujūm-e-ḳhvāhishāt
ek ho to aap se shikva kareñ
tā-ba-kai ho shā'irī meñ zikr-e-yār
koī gar nārāz ho to kyā kareñ
sāmne ho tum mujassam aa.ina
ḳhud ko dekheñ yā tumheñ dekhā kareñ
kar chuke jo 'nazr' karne the gunāh
vaqt-e-āḳhir hasrat-e-‘uqbā kareñ
haal-e-dil kis-kis se hum sajha karen
aur kitne dar pe ab sajda karen
ghup andhera hai to phir aisa karen
apni palken aap hi kuchh wa karen
dusron ka kuchh bhala ho jaega
aaiye apne liye achchha karen
be-sar-o-pa hai hujum-e-KHwahishat
ek ho to aap se shikwa karen
ta-ba-kai ho sha'iri mein zikr-e-yar
koi gar naraaz ho to kya karen
samne ho tum mujassam aaina
KHud ko dekhen ya tumhein dekha karen
kar chuke jo 'nazr' karne the gunah
waqt-e-aKHir hasrat-e-‘uqba karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.