haal-e-dil kuchh kaha gaya bhi nahin
hāl-e-dil kuchh kahā gayā bhī nahīñ
harf-e-matlab adā huā bhī nahīñ
raat us kā vo naaz se kahnā
tujh ko kambaḳht kuchh hayā bhī nahīñ
aap aa.eñ to aap kā ghar hai
aur na aa.eñ to iltijā bhī nahīñ
tum pilāo to shaiḳh bhī pī leñ
ham to kuchh aise pārsā bhī nahīñ
bevafā bhī hai vo zamāne kā
aur muravvat kī intihā bhī nahīñ
qadr karte haiñ vo mirī 'gustāḳh'
jaise maiñ sūrat-āshnā bhī nahīñ
haal-e-dil kuchh kaha gaya bhi nahin
harf-e-matlab ada hua bhi nahin
raat us ka wo naz se kahna
tujh ko kambaKHt kuchh haya bhi nahin
aap aaen to aap ka ghar hai
aur na aaen to iltija bhi nahin
tum pilao to shaiKH bhi pi len
hum to kuchh aise parsa bhi nahin
bewafa bhi hai wo zamane ka
aur murawwat ki intiha bhi nahin
qadr karte hain wo meri 'gustaKH'
jaise main surat-ashna bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.