haal-e-dil lakh tera un ko jata dete hain
haal-e-dil lakh tera un ko jata dete hain
Khwaja Lateef Ahmad Jareeh
MORE BYKhwaja Lateef Ahmad Jareeh
hāl-e-dil laakh tirā un ko jatā dete haiñ
vo magar baat ko bātoñ meñ uḌā dete haiñ
lā.eq-e-nazr nahīñ aur to kuchh apne paas
ek dil hai so tumheñ nām-e-ḳhudā dete haiñ
laakh nafrat kareñ vo ham se adāvat rakkheñ
ḳhush raheñ shaad raheñ un ko duā dete haiñ
bahr-e-taskīñ kabhī ahbāb ne itnā na kahā
kyoñ pareshāñ ho 'jarīh' un ko bulā dete haiñ
haal-e-dil lakh tera un ko jata dete hain
wo magar baat ko baaton mein uDa dete hain
laeq-e-nazr nahin aur to kuchh apne pas
ek dil hai so tumhein nam-e-KHuda dete hain
lakh nafrat karen wo hum se adawat rakkhen
KHush rahen shad rahen un ko dua dete hain
bahr-e-taskin kabhi ahbab ne itna na kaha
kyon pareshan ho 'jarih' un ko bula dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.