haal-e-dil yun unhen sunaya gaya
hāl-e-dil yuuñ unheñ sunāyā gayā
aañkh hī ko zabāñ banāyā gayā
zindagī kī udaas rātoñ ko
aap kī yaad se sajāyā gayā
ishq kī vo bhī ek manzil thī
har qadam par fareb khāyā gayā
laakh tūfāñ sameT kar yā-rab
is liye ek dil banāyā gayā
haal-e-dil yun unhen sunaya gaya
aankh hi ko zaban banaya gaya
zindagi ki udas raaton ko
aap ki yaad se sajaya gaya
ishq ki wo bhi ek manzil thi
har qadam par fareb khaya gaya
lakh tufan sameT kar ya-rab
is liye ek dil banaya gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.