haal-e-KHud-agahi kab tujhse nihan hai saqi
haal-e-KHud-agahi kab tujhse nihan hai saqi
Bishan Dayal Shad Dehlvi
MORE BYBishan Dayal Shad Dehlvi
hāl-e-ḳhud-āgahī kab tujh se nihāñ hai saaqī
zarf har chiiz kā sūrat se 'ayāñ hai saaqī
fikr-e-mastī hī faqat tujh ko girāñ hai saaqī
varna hastī kā mujhe hosh kahāñ hai saaqī
paikar-e-husn kī tasvīr hai mere dam se
dil hai bedār nazar merī javāñ hai saaqī
gard hai paikar-e-kaunain kī ḳhud-ārā.ī
aaj rag rag meñ mai-e-hosh ravāñ hai saaqī
mudda'ā kahne ko betāb huā baiThā huuñ
āḳhir insāñ huuñ mire muñh meñ zabāñ hai saaqī
jām-o-mīnā haiñ tire lutf-o-karam ke mus.haf
surḳhī-e-mai meñ yahī raaz nihāñ hai saaqī
rang-e-gul naġhma-e-qulqul va fusūñ-kārī meñ
terī mahfil kī har ik chiiz javāñ hai saaqī
mudda'ī hosh ke sab gum haiñ tire jalvoñ meñ
kis tarah samjhe koī kaun kahāñ hai saaqī
aaj tak raaz na is manzil-e-rangīñ kā khulā
ik jahāñ jis kī masāfat meñ ravāñ hai saaqī
bazm-e-zāhir se tirī 'shād' hai 'ālam lekin
dil parakhne kā vo sāmān kahāñ hai saaqī
haal-e-KHud-agahi kab tujh se nihan hai saqi
zarf har chiz ka surat se 'ayan hai saqi
fikr-e-masti hi faqat tujh ko giran hai saqi
warna hasti ka mujhe hosh kahan hai saqi
paikar-e-husn ki taswir hai mere dam se
dil hai bedar nazar meri jawan hai saqi
gard hai paikar-e-kaunain ki KHud-arai
aaj rag rag mein mai-e-hosh rawan hai saqi
mudda'a kahne ko betab hua baiTha hun
aaKHir insan hun mere munh mein zaban hai saqi
jam-o-mina hain tere lutf-o-karam ke mushaf
surKHi-e-mai mein yahi raaz nihan hai saqi
rang-e-gul naghma-e-qulqul wa fusun-kari mein
teri mahfil ki har ek chiz jawan hai saqi
mudda'i hosh ke sab gum hain tere jalwon mein
kis tarah samjhe koi kaun kahan hai saqi
aaj tak raaz na is manzil-e-rangin ka khula
ek jahan jis ki masafat mein rawan hai saqi
bazm-e-zahir se teri 'shad' hai 'alam lekin
dil parakhne ka wo saman kahan hai saqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.