haal hamara kya puchho ho aag dabi uksao ho
haal hamārā kyā pūchho ho aag dabī uksāo ho
sho.ale kab ke raakh hue ab ḳhaak unheñ lahkāo ho
peḌ pe jab phal paat nahīñ to patjhaḌ kyā le jā.egā
ḳhirman kab kā ḳhaak huā bekār hameñ dhaḌkāo ho
koī Dagar hamvār mile to us ke sādhan kar Daalo
teḌhī-meḌhī pagDanDī par jaan ke dhokā khaao ho
rishte naate gāñTh girah se roz ulajhte jaate haiñ
uljhan kī hai riit purānī is ko kyā suljhāo ho
kaisī koī chāhat-vāhat bahkī bahkī bāteñ haiñ
apnī apnī raah lago kyā sun sun ke sankāo ho
'rizvāñ' tum kyā nādāñ ho kuchh kahnī apnī kah Daalo
duniyā kī jab aañkh khule hai tum hī kyoñ so jaao ho
haal hamara kya puchho ho aag dabi uksao ho
shoale kab ke rakh hue ab KHak unhen lahkao ho
peD pe jab phal pat nahin to patjhaD kya le jaega
KHirman kab ka KHak hua bekar hamein dhaDkao ho
koi Dagar hamwar mile to us ke sadhan kar Dalo
teDhi-meDhi pagDanDi par jaan ke dhoka khao ho
rishte nate ganTh girah se roz ulajhte jate hain
uljhan ki hai rit purani is ko kya suljhao ho
kaisi koi chahat-wahat bahki bahki baaten hain
apni apni rah lago kya sun sun ke sankao ho
'rizwan' tum kya nadan ho kuchh kahni apni kah Dalo
duniya ki jab aankh khule hai tum hi kyon so jao ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.