haal kuchh ab ke juda hai tere diwanon ka
haal kuchh ab ke judā hai tire dīvānoñ kā
shahr meñ Dher na lag jaa.e garebānoñ kā
ye mirā zabt hai yā terī adā kī tahzīb
rañg āñkhoñ meñ jhalaktā nahīñ armānoñ kā
mai-kade ke yahī ādāb haiñ rindo sun lo
ġham nahīñ karte haiñ TuuTe hue paimānoñ kā
saañs lene ko koī ....aur Thikānā DhūñDo
shahr jañgal sā huā jaatā hai insānoñ kā
ab haqīqat kī tahoñ tak koī kaise pahoñche
ek tūfān bapā hai yahāñ afsānoñ kā
haal kuchh ab ke juda hai tere diwanon ka
shahr mein Dher na lag jae garebanon ka
ye mera zabt hai ya teri ada ki tahzib
rang aankhon mein jhalakta nahin armanon ka
mai-kade ke yahi aadab hain rindo sun lo
gham nahin karte hain TuTe hue paimanon ka
sans lene ko koi aur Thikana DhunDo
shahr jangal sa hua jata hai insanon ka
ab haqiqat ki tahon tak koi kaise pahonche
ek tufan bapa hai yahan afsanon ka
- Book : Khushk Tahni Zard Pattay (Pg. 61)
- Author : Yousuf Taqi
- Publication : Yousuf Taqi (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.