haal mazi ka silsila kaTe
haal maazī kā silsila kaaTe
vaqt kī vaqt har sadā kaaTe
lamha lamhe kā yuuñ galā kaaTe
saañp ko jaise nevlā kaaTe
gaañv kā shahr silsila kaaTe
mehr-o-iḳhlās kā galā kaaTe
is tarah kāTtī kahāñ talvār
jis tarah ḳhanjar-e-anā kaaTe
ziist kī tang koTharī aur maiñ
jaise mujrim koī sazā kaaTe
kis ta'alluq kī hai sazā āḳhir
ḳhud mujhe aaj ghar mirā kaaTe
hai koī jyotishī kahīñ aisā
jo hathelī pe bhī likhā kaaTe
haal mazi ka silsila kaTe
waqt ki waqt har sada kaTe
lamha lamhe ka yun gala kaTe
sanp ko jaise newla kaTe
ganw ka shahr silsila kaTe
mehr-o-iKHlas ka gala kaTe
is tarah kaTti kahan talwar
jis tarah KHanjar-e-ana kaTe
zist ki tang koThari aur main
jaise mujrim koi saza kaTe
kis ta'alluq ki hai saza aaKHir
KHud mujhe aaj ghar mera kaTe
hai koi jyotishi kahin aisa
jo hatheli pe bhi likha kaTe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.