Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

haal mein jine ki tadbir bhi ho sakti hai

Farhat Nadeem Humayun

haal mein jine ki tadbir bhi ho sakti hai

Farhat Nadeem Humayun

MORE BYFarhat Nadeem Humayun

    haal meñ jiine tadbīr bhī ho saktī hai

    zindagī maazī tasvīr bhī ho saktī hai

    aas meñ us na har kaam adhūrā chhoḌo

    us ke aane meñ to tāḳhīr bhī ho saktī hai

    merā har ḳhvāb to bas ḳhvāb jaisā niklā

    kyā kisī ḳhvāb ta.abīr bhī ho saktī hai

    dil to merā thā magar ye mujhe ma.alūm na thā

    ye kisī aur jāgīr bhī ho saktī hai

    zindagī jalne lagī ātish-e-tanhā.ī meñ

    jurm-e-ulfat ye ta.azīr bhī ho saktī hai

    dil ko barbād nahīñ karnā ki is meñ phir se

    ḳhvāhishoñ na.ī ta.amīr bhī ho saktī hai

    thak gayā huuñ maiñ hikāyāt-e-junūñ likh likh kar

    ye mirī āḳhirī tahrīr bhī ho saktī hai

    haal mein jine ki tadbir bhi ho sakti hai

    zindagi mazi ki taswir bhi ho sakti hai

    aas mein us ki na har kaam adhura chhoDo

    us ke aane mein to taKHir bhi ho sakti hai

    mera har KHwab to bas KHwab hi jaisa nikla

    kya kisi KHwab ki tabir bhi ho sakti hai

    dil to mera tha magar ye mujhe malum na tha

    ye kisi aur ki jagir bhi ho sakti hai

    zindagi jalne lagi aatish-e-tanhai mein

    jurm-e-ulfat ki ye tazir bhi ho sakti hai

    dil ko barbaad nahin karna ki is mein phir se

    KHwahishon ki nai tamir bhi ho sakti hai

    thak gaya hun main hikayat-e-junun likh likh kar

    ye meri aaKHiri tahrir bhi ho sakti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now