haal tere jigar-figaron ka
haal tere jigar-figaron ka
Haji Shafiullah Shafi Bahraichi
MORE BYHaji Shafiullah Shafi Bahraichi
haal tere jigar-figāroñ kā
jaise naqsha miTī bahāroñ kā
ham ko to barq se umiid nahīñ
saath kuchh de jo be-qarāroñ kā
aap kyā be-naqāb aa.e haiñ
nuur kyoñ uḌ gayā sitāroñ kā
ham na kahte the aap ro.eñge
chhoḌiye zikr be-qarāroñ kā
mere chhāloñ kī kasmapursī par
dil bhar aaya ḳhud aaj ḳhāroñ kā
maiñ usī dar kā huuñ ġhulām 'shafī.a'
sar jahāñ ḳham hai tājdāroñ kā
haal tere jigar-figaron ka
jaise naqsha miTi bahaaron ka
hum ko to barq se umid nahin
sath kuchh de jo be-qararon ka
aap kya be-naqab aae hain
nur kyon uD gaya sitaron ka
hum na kahte the aap roenge
chhoDiye zikr be-qararon ka
mere chhaalon ki kasmapursi par
dil bhar aaya KHud aaj KHaron ka
main usi dar ka hun ghulam 'shafia'
sar jahan KHam hai tajdaron ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.