haalanki main asir-e-azab-e-safar na tha
hālāñki maiñ asīr-e-azāb-e-safar na thā
ye aur baat hai ki mirā koī ghar na thā
din raat bhāgte hue lamhoñ ke darmiyāñ
maiñ sochtā thā koī mirā ham-safar na thā
ham bahr-e-zindagī se jo chun chun ke laa.e the
ḳhālī sabhī sadaf the kisī meñ guhar na thā
yuuñ ḳhaak uḌ rahī hai nigāhoñ ke sāmne
dasht-e-talab meñ duur talak koī ghar na thā
bārish kī sāzishoñ meñ havā bhī sharīk thī
lekin makīn-e-shahr koī bā-ḳhabar na thā
logoñ ne sañgsār kiyā is ke bāvajūd
vo mutma.in thā us kā kahā be-asar na thā
haalanki main asir-e-azab-e-safar na tha
ye aur baat hai ki mera koi ghar na tha
din raat bhagte hue lamhon ke darmiyan
main sochta tha koi mera ham-safar na tha
hum bahr-e-zindagi se jo chun chun ke lae the
KHali sabhi sadaf the kisi mein guhar na tha
yun KHak uD rahi hai nigahon ke samne
dasht-e-talab mein dur talak koi ghar na tha
barish ki sazishon mein hawa bhi sharik thi
lekin makin-e-shahr koi ba-KHabar na tha
logon ne sangsar kiya is ke bawajud
wo mutmain tha us ka kaha be-asar na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.