haalat ab sanwarne ke aasar bhi nahin
hālāt ab sañvarne ke āsār bhī nahīñ
ġham be-shumār haiñ koī ġham-ḳhvār bhī nahīñ
kyā kyā likhūñ maiñ shahr-e-sitam kī rivāyateñ
ik dūsre kā koī madad-gār bhī nahīñ
kashtī kā merī yaaro nigahbāñ hai koī aur
hāthoñ meñ mere is liye patvār bhī nahīñ
kis ke qadam ko chūmūñ kise pārsā kahūñ
har shaḳhs ab to sāhib-e-kirdār bhī nahīñ
ai shaiḳh terī baat 'ajīb-o-ġharīb hai
bhīge haiñ hoñT aur gunahgār bhī nahīñ
maiñ kaise maan luuñ vo masīhā-e-vaqt hai
kirdār us kā lā.eq-e-dastār bhī nahīñ
us ke liye du'ā.eñ na māñgī kahāñ kahāñ
lekin 'qamar' vo merā talabgār bhī nahīñ
haalat ab sanwarne ke aasar bhi nahin
gham be-shumar hain koi gham-KHwar bhi nahin
kya kya likhun main shahr-e-sitam ki riwayaten
ek dusre ka koi madad-gar bhi nahin
kashti ka meri yaro nigahban hai koi aur
hathon mein mere is liye patwar bhi nahin
kis ke qadam ko chumun kise parsa kahun
har shaKHs ab to sahib-e-kirdar bhi nahin
ai shaiKH teri baat 'ajib-o-gharib hai
bhige hain honT aur gunahgar bhi nahin
main kaise man lun wo masiha-e-waqt hai
kirdar us ka laeq-e-dastar bhi nahin
us ke liye du'aen na mangi kahan kahan
lekin 'qamar' wo mera talabgar bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.