haalat badalne ki KHabar hai ki nahin hai
hālāt badalne kī ḳhabar hai ki nahīñ hai
shāne pe zarā dekh le sar hai ki nahīñ hai
ye ghar ke masā.il haiñ kabhī ḳhatm na hoñge
ai mere ḳhudā in se mafar hai ki nahīñ hai
jo dasht-navardī ke liye chhoḌ diyā thā
ab shahr-e-tamannā meñ vo ghar hai ki nahīñ hai
karnī thī tire hukm kī ta.amīl so kar dī
bol apnī sifārish meñ asar hai ki nahīñ hai
āvāz to hotī nahīñ lāThī meñ ḳhudā kī
zālim tujhe kuchh is kā bhī Dar hai ki nahīñ hai
zardār hai baap us kā to kyā dekhnā lekin
laḌke meñ kamā.ī kā hunar hai ki nahīñ hai
'imrān' tujhe manzil-e-irfāñ to hai matlūb
hamrāh tire raḳht-e-safar hai ki nahīñ hai
haalat badalne ki KHabar hai ki nahin hai
shane pe zara dekh le sar hai ki nahin hai
ye ghar ke masail hain kabhi KHatm na honge
ai mere KHuda in se mafar hai ki nahin hai
jo dasht-nawardi ke liye chhoD diya tha
ab shahr-e-tamanna mein wo ghar hai ki nahin hai
karni thi tere hukm ki tamil so kar di
bol apni sifarish mein asar hai ki nahin hai
aawaz to hoti nahin laThi mein KHuda ki
zalim tujhe kuchh is ka bhi Dar hai ki nahin hai
zardar hai bap us ka to kya dekhna lekin
laDke mein kamai ka hunar hai ki nahin hai
'imran' tujhe manzil-e-irfan to hai matlub
hamrah tere raKHt-e-safar hai ki nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.