haalat ka ruKH KHud hi badal jaega ek din
hālāt kā ruḳh ḳhud hī badal jā.egā ik din
jaadū mire afkār kā chal jā.egā ik din
vo merā ḳhudā hai to mire dil meñ rahegā
ma.abūd digar ho to nikal jā.egā ik din
sochā to na thā ishq ke anjām se pahle
mausam kī tarah vo bhī badal jā.egā ik din
vo azm kā patthar ho ki ummīd kā aahan
hālāt kī garmī se pighal jā.egā ik din
us ne bhī mohabbat meñ baḌe dard sahe haiñ
vo bhī to mirī tarah sañbhal jā.egā ik din
hāthoñ kī lakīroñ se ubhartā huā naqsha
hāthoñ se tire ḳhud hī nikal jā.egā ik din
haalat ka ruKH KHud hi badal jaega ek din
jadu mere afkar ka chal jaega ek din
wo mera KHuda hai to mere dil mein rahega
mabud digar ho to nikal jaega ek din
socha to na tha ishq ke anjam se pahle
mausam ki tarah wo bhi badal jaega ek din
wo azm ka patthar ho ki ummid ka aahan
haalat ki garmi se pighal jaega ek din
us ne bhi mohabbat mein baDe dard sahe hain
wo bhi to meri tarah sanbhal jaega ek din
hathon ki lakiron se ubharta hua naqsha
hathon se tere KHud hi nikal jaega ek din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.