haalat ke dabao se haijaan mein rahe
hālāt ke dabāo se haijān meñ rahe
ham saarī umr jañg ke maidān meñ rahe
tanhā.ī miltī aur kabhī ḳhud ko bhī dekhte
muddat guzar ga.ī isī armān meñ rahe
jab tajraboñ se TuuTe tavaqqo ke ā.īne
jo maslahat-pasand the nuqsān meñ rahe
un ke nuqūsh ubhre haiñ qirtās-e-vaqt par
bā-iḳhtiyār ho ke jo ausān meñ rahe
ham apnī sat.h chhoḌ ke tum tak na aa sake
lamhāt-e-intiqām to imkān meñ rahe
TuuTā nahīñ hai shahr-e-nigārāñ se rābta
'ġhālib' kī tarah ham bhī bayābān meñ rahe
lafzoñ ke dā.eroñ meñ sameTe hayāt ko
hairat-zada se dahr ke aivān meñ rahe
haalat ke dabao se haijaan mein rahe
hum sari umr jang ke maidan mein rahe
tanhai milti aur kabhi KHud ko bhi dekhte
muddat guzar gai isi arman mein rahe
jab tajrabon se TuTe tawaqqo ke aaine
jo maslahat-pasand the nuqsan mein rahe
un ke nuqush ubhre hain qirtas-e-waqt par
ba-iKHtiyar ho ke jo ausan mein rahe
hum apni sath chhoD ke tum tak na aa sake
lamhat-e-intiqam to imkan mein rahe
TuTa nahin hai shahr-e-nigaran se rabta
'ghaalib' ki tarah hum bhi bayaban mein rahe
lafzon ke daeron mein sameTe hayat ko
hairat-zada se dahr ke aiwan mein rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.