haalat ke dariyaon mein KHatre ke nishan tak
hālāt ke dariyāoñ meñ ḳhatre ke nishāñ tak
chal pā.eñge kyā aap mire saath vahāñ tak
maiñ mulk-badar sabr bhī kar saktī thī lekin
ye dekhnā thā zulm kī sarhad hai kahāñ tak
ḳhuddār tabī.at ko guzartī hai girāñ-bār
jab tishna-labī jaatī hai ḳhud āb-e-ravāñ tak
ham jur.at-e-iz.hār ke us daur se guzre
jis daur meñ alfāz kī kāñTī thī zabāñ tak
tā-hadd-e-nazar bahtā thā ik samt samundar
ik samt magar pyaas se aiñThī thī zabāñ tak
haalat ke dariyaon mein KHatre ke nishan tak
chal paenge kya aap mere sath wahan tak
main mulk-badar sabr bhi kar sakti thi lekin
ye dekhna tha zulm ki sarhad hai kahan tak
KHuddar tabiat ko guzarti hai giran-bar
jab tishna-labi jati hai KHud aab-e-rawan tak
hum jurat-e-izhaar ke us daur se guzre
jis daur mein alfaz ki kanTi thi zaban tak
ta-hadd-e-nazar bahta tha ek samt samundar
ek samt magar pyas se ainThi thi zaban tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.