haalat ki chiKHon pe kabhi kan dharenge
haalat ki chiKHon pe kabhi kan dharenge
Khaleel Husain Balooch
MORE BYKhaleel Husain Balooch
hālāt kī chīḳhoñ pe kabhī kaan dhareñge
har ḳhauf meñ sahmī huī āvāz suneñge
ye lāzim-o-malzūm nahīñ hosh meñ aa.uuñ
kab ḳhamr thī āñkheñ haiñ ka.ī roz lageñge
aflāk se lauTī hai duā aa ke zarā dekh
har harf ke chehre pe tujhe sog dikheñge
nā amn kī ḳhvāhish ko kabhī ḳhauf samajhnā
maidāñ meñ hameñ dekh tire hosh uḌeñge
bāñTā hai mujhe hijr ne TukḌoñ meñ ki merī
āñkheñ haiñ kahīñ par to kahīñ ḳhvāb mileñge
pahlū se uThe dard ne āñkhoñ meñ jagah lī
afsos tujhe niiñd yahāñ kaun sī jā deñ
do-chār qadam aañkh ko āñkhoñ se milā kar
ab ḳhvāb haqīqat kī asīrī kā kaheñge
ai ishq tire dar pe milī mar ke bulandī
shah-e-rag pe tujhe zinda-o-jāved likheñge
ye jañg ajab jañg hai laḌnā na kabhī bhī
is ishq ke maidāñ meñ jiyeñge na mareñge
tum dil meñ chhupāo na kaho aag lagegī
ash.ār ke dāman meñ kahāñ dard chhupeñge
ham zabt 'ḳhalīl' oḌh ke zaḳhmoñ pe ka.ī baar
har aah ke siine pe qadam rakh ke hañseñge
haalat ki chiKHon pe kabhi kan dharenge
har KHauf mein sahmi hui aawaz sunenge
ye lazim-o-malzum nahin hosh mein aaun
kab KHamr thi aankhen hain kai roz lagenge
aflak se lauTi hai dua aa ke zara dekh
har harf ke chehre pe tujhe sog dikhenge
na amn ki KHwahish ko kabhi KHauf samajhna
maidan mein hamein dekh tere hosh uDenge
banTa hai mujhe hijr ne TukDon mein ki meri
aankhen hain kahin par to kahin KHwab milenge
pahlu se uThe dard ne aankhon mein jagah li
afsos tujhe nind yahan kaun si ja den
do-chaar qadam aankh ko aankhon se mila kar
ab KHwab haqiqat ki asiri ka kahenge
ai ishq tere dar pe mili mar ke bulandi
shah-e-rag pe tujhe zinda-o-jawed likhenge
ye jang ajab jang hai laDna na kabhi bhi
is ishq ke maidan mein jiyenge na marenge
tum dil mein chhupao na kaho aag lagegi
ashaar ke daman mein kahan dard chhupenge
hum zabt 'KHalil' oDh ke zaKHmon pe kai bar
har aah ke sine pe qadam rakh ke hansenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.