haalat ki taswir badal jae to achchha
hālāt kī tasvīr badal jaa.e to achchhā
hākim jo mirā ḳhud hī sambhal jaa.e to achchhā
ye us kā aham pyaar meñ Dhal jaa.e to achchhā
rassī to jalī bal bhī nikal jaa.e to achchhā
bhaḌke abhī kuchh aur yūñhī karāntī kī jvālā
kuchh der abhī faisla Tal jaa.e to achchhā
āñdhī meñ jo ik diip jalāyā hai kisī ne
bekār na ye us kī pahal jaa.e to achchhā
phaT jaa.eñ na santāp se ye tan kī shirā.eñ
āñkhoñ se lahū ban ke nikal jaa.e to achchhā
annyā.e ne bhar dī hai bahut aag diloñ meñ
lanka hī kahīñ is meñ jo jal jaa.e to achchhā
tārīḳh pe tārīḳh badal de na gavāhī
munsif hī adālat kā badal jaa.e to achchhā
khul jā.egā sab is ke har ik sher meñ kyā hai
logoñ meñ na ye merī ġhazal jaa.e to achchhā
sambañdh nibhāne ko hai sanvād zarūrī
'ālok' agar barf pighal jaa.e to achchhā
haalat ki taswir badal jae to achchha
hakim jo mera KHud hi sambhal jae to achchha
ye us ka aham pyar mein Dhal jae to achchha
rassi to jali bal bhi nikal jae to achchha
bhaDke abhi kuchh aur yunhi karanti ki jwala
kuchh der abhi faisla Tal jae to achchha
aandhi mein jo ek dip jalaya hai kisi ne
bekar na ye us ki pahal jae to achchha
phaT jaen na santap se ye tan ki shiraen
aankhon se lahu ban ke nikal jae to achchha
annyae ne bhar di hai bahut aag dilon mein
lanka hi kahin is mein jo jal jae to achchha
tariKH pe tariKH badal de na gawahi
munsif hi adalat ka badal jae to achchha
khul jaega sab is ke har ek sher mein kya hai
logon mein na ye meri ghazal jae to achchha
sambandh nibhane ko hai sanwad zaruri
'alok' agar barf pighal jae to achchha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.