haalat mere dil ko lagane nahin dete
hālāt mire dil ko lagāne nahīñ dete
āñkhoñ meñ tire ḳhvāb sajāne nahīñ dete
zulmat ke pujārī to bahut tañg-nazar haiñ
jashn-e-shab-e-tārīk manāne nahīñ dete
āñkhoñ pe to bilkul hī koī bas nahīñ chaltā
ham ḳhud ko tirī bazm meñ jaane nahīñ dete
jannat kī duā.eñ mujhe dete haiñ sabhī log
is ahd meñ jiine ke bahāne nahīñ dete
nafrat kī rivāyāt ke pāband haiñ lahje
rūThe hue logoñ ko manāne nahīñ dete
kuchh ḳhvāb mirī zaat se baḌh kar bhī to haiñ jo
phir dil ko tirī aas lagāne nahīñ dete
sūkhe hue phuul aur tire lams kī ḳhushbū
sadma tire jaane kā bhulāne nahīñ dete
goyā.ī hai pāband-e-salāsil ki 'amīr' ab
sahrā meñ bhī āvāz lagāne nahīñ dete
haalat mere dil ko lagane nahin dete
aankhon mein tere KHwab sajaane nahin dete
zulmat ke pujari to bahut tang-nazar hain
jashn-e-shab-e-tarik manane nahin dete
aankhon pe to bilkul hi koi bas nahin chalta
hum KHud ko teri bazm mein jaane nahin dete
jannat ki duaen mujhe dete hain sabhi log
is ahd mein jine ke bahane nahin dete
nafrat ki riwayat ke paband hain lahje
ruThe hue logon ko manane nahin dete
kuchh KHwab meri zat se baDh kar bhi to hain jo
phir dil ko teri aas lagane nahin dete
sukhe hue phul aur tere lams ki KHushbu
sadma tere jaane ka bhulane nahin dete
goyai hai paband-e-salasil ki 'amir' ab
sahra mein bhi aawaz lagane nahin dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.