haalat sanwarne mein zara der lagegi
hālāt sañvarne meñ zarā der lagegī
is zaḳhm ke bharne meñ zarā der lagegī
ThanDā nahīñ ho paayā mirā ḳhuun abhī tak
mujh ko abhī marne meñ zarā der lagegī
Thahro abhī kuchh der mirī āñkhoñ ke aage
ausān bikharne meñ zarā der lagegī
ubhregā ba-har-taur har ik Dūbne vaalā
maanā ki ubharne meñ zarā der lagegī
jo azmat-e-insāñ ko sitāroñ se milā de
us kaam ke karne meñ zarā der lagegī
haalat sanwarne mein zara der lagegi
is zaKHm ke bharne mein zara der lagegi
ThanDa nahin ho paya mera KHun abhi tak
mujh ko abhi marne mein zara der lagegi
Thahro abhi kuchh der meri aankhon ke aage
ausan bikharne mein zara der lagegi
ubhrega ba-har-taur har ek Dubne wala
mana ki ubharne mein zara der lagegi
jo azmat-e-insan ko sitaron se mila de
us kaam ke karne mein zara der lagegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.