haalat se samjhauta to karna hi paDega
haalat se samjhauta to karna hi paDega
Rahbar Tabani Dariyabadi
MORE BYRahbar Tabani Dariyabadi
hālāt se samjhautā to karnā hī paḌegā
is aag ke dariyā se guzarnā hī paḌegā
takmīl-e-junūñ ke liye ai bādiya-paimā
kuchh roz bayābāñ meñ Thaharnā hī paḌegā
baḌhtī chalī jaatī haiñ shar-angeziyāñ us kī
lagtā hai hameñ ran meñ utarnā hī paḌegā
manzūr-e-nazar honā hai to apne lahū se
ham sab ko 'arūsāna sañvarnā hī paḌegā
qurbānī-o-īsār se jāneñ na churā.eñ
jiine kī tamanna hai to marnā hī paḌegā
jazbāt ko ab sūrat-e-alfāz-o-ma.ānī
har saf.ha-e-hastī pe bikharnā hī paḌegā
jo kilk-e-tasavvur ne kabhī khīñche the 'rahbar'
rang ab tumheñ un ḳhākoñ meñ bharnā hī paḌegā
haalat se samjhauta to karna hi paDega
is aag ke dariya se guzarna hi paDega
takmil-e-junun ke liye ai baadiya-paima
kuchh roz bayaban mein Thaharna hi paDega
baDhti chali jati hain shar-angeziyan us ki
lagta hai hamein ran mein utarna hi paDega
manzur-e-nazar hona hai to apne lahu se
hum sab ko 'arusana sanwarna hi paDega
qurbani-o-isar se jaanen na churaen
jine ki tamanna hai to marna hi paDega
jazbaat ko ab surat-e-alfaz-o-maani
har safha-e-hasti pe bikharna hi paDega
jo kilk-e-tasawwur ne kabhi khinche the 'rahbar'
rang ab tumhein un KHakon mein bharna hi paDega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.