haalat-e-dil KHizan ki surat hai
hālat-e-dil ḳhizāñ kī sūrat hai
ishq sang-e-girāñ kī sūrat hai
bah rahā hai ragoñ meñ laavā sā
rang ātish-fishāñ kī sūrat hai
ai nasīm-e-bahār merā bhī
haal ujḌe makāñ kī sūrat hai
maiñ huuñ ḳhalvat ke naam kā sahrā
aur tū gulsitāñ kī sūrat hai
fitratan aaj ghar basāne kā
khel sūd-o-ziyāñ kī sūrat hai
tere dam se hai chāñdnī ghultī
chāñd tere nishāñ kī sūrat hai
dasht-e-ḳhākī pe ek tū jānāñ
chādar-e-āsmāñ kī sūrat hai
ḳhāk-e-dil hai 'murād' but-ḳhāna
lek naala azaañ kī sūrat hai
haalat-e-dil KHizan ki surat hai
ishq sang-e-giran ki surat hai
bah raha hai ragon mein lawa sa
rang aatish-fishan ki surat hai
ai nasim-e-bahaar mera bhi
haal ujDe makan ki surat hai
main hun KHalwat ke nam ka sahra
aur tu gulsitan ki surat hai
fitratan aaj ghar basane ka
khel sud-o-ziyan ki surat hai
tere dam se hai chandni ghulti
chand tere nishan ki surat hai
dasht-e-KHaki pe ek tu jaanan
chadar-e-asman ki surat hai
KHak-e-dil hai 'murad' but-KHana
lek nala azan ki surat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.