haalat meri jab usko digar-gun nazar aai
haalat meri jab usko digar-gun nazar aai
Meer Muzaffar Husain Zameer
MORE BYMeer Muzaffar Husain Zameer
hālat mirī jab us ko digar-gūñ nazar aa.ī
auroñ kī to kyā chashm masīhā kī bhar aa.ī
kāhīda kiyā āh-e-junūñ ne mujhe yaañ tak
zanjīr mire paañv kī āḳhir utar aa.ī
kis vaqt phañsī thī ki rihā ho ke chaman tak
ai vaa.e na phir bulbul-e-be-bāl-o-par aa.ī
haalat meri jab us ko digar-gun nazar aai
auron ki to kya chashm masiha ki bhar aai
kahida kiya aah-e-junun ne mujhe yan tak
zanjir mere panw ki aaKHir utar aai
kis waqt phansi thi ki riha ho ke chaman tak
ai wae na phir bulbul-e-be-baal-o-par aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.