han agar din ko kabhi raat kaha jata hai
haañ agar din ko kabhī raat kahā jaatā hai
us ko majbūri-e-hālāt kahā jaatā hai
āsmāñ ho ke bhī jo log zamīñ jaise haiñ
aise logoñ ko hī sādāt kahā jaatā hai
jab sunā auroñ ke muñh se to ye jaanā maiñ ne
merī shohrat meñ tirā haat kahā jaatā hai
aañkh se gir ke mire ashk zamīñ-doz hue
hijr meñ is ko hī barsāt kahā jaatā hai
baa'd jaane ke bhī siine meñ mire baiThā rahā
is ko hī sachchī mulāqāt kahā jaatā hai
han agar din ko kabhi raat kaha jata hai
us ko majburi-e-haalat kaha jata hai
aasman ho ke bhi jo log zamin jaise hain
aise logon ko hi sadat kaha jata hai
jab suna auron ke munh se to ye jaana main ne
meri shohrat mein tera hat kaha jata hai
aankh se gir ke mere ashk zamin-doz hue
hijr mein is ko hi barsat kaha jata hai
ba'd jaane ke bhi sine mein mere baiTha raha
is ko hi sachchi mulaqat kaha jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.