han aur nahin ki bahami takrar dekhiye
haañ aur nahīñ kī bāhamī takrār dekhiye
inkār ke libās meñ iqrār dekhiye
jo chhū rahe haiñ azmat-o-rif.at kī sarhadeñ
vo rāste azal se haiñ dushvār dekhiye
āvāz de rahā hai yahī vaqt kā naqīb
muḌ muḌ ke ab na sāya-e-dīvār dekhiye
bahke qadam machaltī nigāhoñ ke saath saath
Thahrī huī havā kī bhī raftār dekhiye
āñkhoñ meñ jaag jaa.e na nafrat kā devtā
duniyā ke saath ḳhud ko bhī ik baar dekhiye
zarf-o-zamīr bech rahe haiñ agar janāb
ik baar samt rū-e-ḳharīdār dekhiye
kirdār aadmī ke liye lāzmī sahī
shā.ir kī zaat chhoḌiye ash.ār dekhiye
han aur nahin ki bahami takrar dekhiye
inkar ke libas mein iqrar dekhiye
jo chhu rahe hain azmat-o-rifat ki sarhaden
wo raste azal se hain dushwar dekhiye
aawaz de raha hai yahi waqt ka naqib
muD muD ke ab na saya-e-diwar dekhiye
bahke qadam machalti nigahon ke sath sath
Thahri hui hawa ki bhi raftar dekhiye
aankhon mein jag jae na nafrat ka dewta
duniya ke sath KHud ko bhi ek bar dekhiye
zarf-o-zamir bech rahe hain agar janab
ek bar samt ru-e-KHaridar dekhiye
kirdar aadmi ke liye lazmi sahi
shair ki zat chhoDiye ashaar dekhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.