haañ diid kā iqrār agar ho to abhī ho
aur yuuñ ho ki dīdār agar ho to abhī ho
taqdīr se Dartā huuñ ki phir mat na palaT jaa.e
tum dil ke ḳharīdār agar ho to abhī ho
dīdār ko kal kah ke qayāmat pe vo Tāleñ
aur shauq kā isrār agar ho to abhī ho
badlā huā har ahd nayā laatā hai paiġhām
ye kyā ki har iqrār agar ho to abhī ho
aa lene to do 'ārzū' āzār meñ lazzat
tum naam se bezār agar ho to abhī ho
han did ka iqrar agar ho to abhi ho
aur yun ho ki didar agar ho to abhi ho
taqdir se Darta hun ki phir mat na palaT jae
tum dil ke KHaridar agar ho to abhi ho
didar ko kal kah ke qayamat pe wo Talen
aur shauq ka israr agar ho to abhi ho
badla hua har ahd naya lata hai paigham
ye kya ki har iqrar agar ho to abhi ho
aa lene to do 'arzu' aazar mein lazzat
tum nam se bezar agar ho to abhi ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.