han dikhawe ki mohabbat nahin hone wali
haañ dikhāve kī mohabbat nahīñ hone vaalī
yaar ham se ye siyāsat nahīñ hone vaalī
apnā kirdār aur aḳhlāq sañvāro pahle
qīmtī kapḌoñ se 'izzat nahīñ hone vaalī
bech dete haiñ zamīr apnā jo shohrat ke liye
un ko hāsil kabhī shohrat nahīñ hone vaalī
ham ko mā'lūm hai duniyā kī haqīqat kyā hai
ham ko duniyā se mohabbat nahīñ hone vaalī
jhuuT ko bolnā 'ādat meñ hai in kī shāmil
duur ab in kī ye 'ādat nahīñ hone vaalī
jis ne māñ-bāp pe Dhaa.e haiñ sitam ai 'yāsīn'
us ko hāsil kabhī jannat nahīñ hone vaalī
han dikhawe ki mohabbat nahin hone wali
yar hum se ye siyasat nahin hone wali
apna kirdar aur aKHlaq sanwaro pahle
qimti kapDon se 'izzat nahin hone wali
bech dete hain zamir apna jo shohrat ke liye
un ko hasil kabhi shohrat nahin hone wali
hum ko ma'lum hai duniya ki haqiqat kya hai
hum ko duniya se mohabbat nahin hone wali
jhuT ko bolna 'adat mein hai in ki shamil
dur ab in ki ye 'adat nahin hone wali
jis ne man-bap pe Dhae hain sitam ai 'yasin'
us ko hasil kabhi jannat nahin hone wali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.