han gham-e-dil ki tere pas dawa hai to sahi
haañ ġham-e-dil kī tire paas davā hai to sahī
dard kuchh terī tavajjoh se sivā hai to sahī
mūjib-e-rāhat-e-dil terī vafā hai to sahī
kuchh na kuchh phir bhī mujhe tujh se gila hai to sahī
dil ko matlūb hai ik chiiz shifā se bhī sivā
varna yuuñ dard-e-mohabbat kī davā hai to sahī
maiñ na kahtā thā is āvāz se mānūs huuñ maiñ
parda-e-sāz meñ terī hī sadā hai to sahī
ab na khā.ūñgā tirī chashm-e-muravvat kā fareb
merī nazroñ meñ tirī tarz-e-jafā hai to sahī
ek duniyā hai ki betāb paḌī phirtī hai
kuchh na kuchh dard-e-mohabbat meñ mazā hai to sahī
aur darkār hai kyā dil kī tasallī ke liye
mujh se vo shoḳh ka.ī din se ḳhafā hai to sahī
sach hai kab tak rahe ummīd pe koī ai dil
ab tirī barhamī-e-shauq bajā hai to sahī
vaah kyā paa.ī hai rangīn tabī.at maiñ ne
kam kahūñ sher magar tab-e-rasā hai to sahī
aap ke lutf kī ummīd pe jiitā hai 'jalīl'
varna sunte haiñ vo jiine se ḳhafā hai to sahī
han gham-e-dil ki tere pas dawa hai to sahi
dard kuchh teri tawajjoh se siwa hai to sahi
mujib-e-rahat-e-dil teri wafa hai to sahi
kuchh na kuchh phir bhi mujhe tujh se gila hai to sahi
dil ko matlub hai ek chiz shifa se bhi siwa
warna yun dard-e-mohabbat ki dawa hai to sahi
main na kahta tha is aawaz se manus hun main
parda-e-saz mein teri hi sada hai to sahi
ab na khaunga teri chashm-e-murawwat ka fareb
meri nazron mein teri tarz-e-jafa hai to sahi
ek duniya hai ki betab paDi phirti hai
kuchh na kuchh dard-e-mohabbat mein maza hai to sahi
aur darkar hai kya dil ki tasalli ke liye
mujh se wo shoKH kai din se KHafa hai to sahi
sach hai kab tak rahe ummid pe koi ai dil
ab teri barhami-e-shauq baja hai to sahi
wah kya pai hai rangin tabiat main ne
kam kahun sher magar tab-e-rasa hai to sahi
aap ke lutf ki ummid pe jita hai 'jalil'
warna sunte hain wo jine se KHafa hai to sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.