han mohtasib agar KHum-o-mina shikast ho
han mohtasib agar KHum-o-mina shikast ho
Sulaiman Shikoh Gordner Fana
MORE BYSulaiman Shikoh Gordner Fana
haañ mohtasib agar ḳhum-o-mīnā shikast ho
saath hī tumhāre sar kā bhī kaasa shikast ho
jalva jo husn-e-duḳhtar-e-raz kā tū dekh le
qaazī vuzū-e-ismat-e-taqvā shikast ho
mastoñ kī mahfiloñ meñ kisī din jo aa phañse
zāhid ke ahd-e-saum kā paaya shikast ho
sūrat-numā ho ishq tirā phir kahāñ agar
ā.īna-e-jamāl-e-sarāpā shikast ho
kyā ġham jo TuuT jaa.eñ jigar jaañ kaleja dil
par terī chaah kī na tamanna shikast ho
be-shak ḳhudā bane jo 'fanā' toḌe abadiyat
ḳhud-bīniyoñ kā apnī jo paaya shikast ho
han mohtasib agar KHum-o-mina shikast ho
sath hi tumhaare sar ka bhi kasa shikast ho
jalwa jo husn-e-duKHtar-e-raz ka tu dekh le
qazi wuzu-e-ismat-e-taqwa shikast ho
maston ki mahfilon mein kisi din jo aa phanse
zahid ke ahd-e-saum ka paya shikast ho
surat-numa ho ishq tera phir kahan agar
aaina-e-jamal-e-sarapa shikast ho
kya gham jo TuT jaen jigar jaan kaleja dil
par teri chah ki na tamanna shikast ho
be-shak KHuda bane jo 'fana' toDe abadiyat
KHud-biniyon ka apni jo paya shikast ho
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 25)
- Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا (2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.