han mujhe gawara hai ishq ka safar tanha
haañ mujhe gavārā hai ishq kā safar tanhā
us ne mujh ko chhoḌā hai kuchh to soch kar tanhā
ziist hai magar suunī ishq hai magar tanhā
chashm sar-basar vīrāñ qalb sar-basar tanhā
vo jamāl kī tābish jaise nuur kī bārish
husn-e-yār kī yūrish aur mirī nazar tanhā
dil kī ek ik hasrat chhoḌ kar huī ruḳhsat
hā.e-re ye sannāTā hā.e-re ye ghar tanhā
kyā qayāmateñ yaaro husn ke jilau meñ thiiñ
ham ne duur tak dekhā ishq thā magar tanhā
Thokareñ hī khā.ūñgā gir ke uTh na pā.ūñgā
manzil-e-mohabbat meñ maiñ chalā agar tanhā
dāman-e-mohabbat par dil kā ḳhuun bhī hogā
terā ġham manā.egī kaise chashm-e-tar tanhā
han mujhe gawara hai ishq ka safar tanha
us ne mujh ko chhoDa hai kuchh to soch kar tanha
zist hai magar suni ishq hai magar tanha
chashm sar-basar viran qalb sar-basar tanha
wo jamal ki tabish jaise nur ki barish
husn-e-yar ki yurish aur meri nazar tanha
dil ki ek ek hasrat chhoD kar hui ruKHsat
hae-re ye sannaTa hae-re ye ghar tanha
kya qayamaten yaro husn ke jilau mein thin
hum ne dur tak dekha ishq tha magar tanha
Thokaren hi khaunga gir ke uTh na paunga
manzil-e-mohabbat mein main chala agar tanha
daman-e-mohabbat par dil ka KHun bhi hoga
tera gham manaegi kaise chashm-e-tar tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.