han saqi-e-mastana bhar de mera paimana
haañ sāqī-e-mastāna bhar de mirā paimāna
ghanghor ghaTā hai yā uḌtā huā mai-ḳhāna
hotī haiñ shab-e-ġham meñ yuuñ dil se mirī bāteñ
jis tarah se samjhā.e dīvāne ko dīvāna
kyā tum ne kahā dil se kyā dil ne kahā ham se
baiTho to sunā.eñ ham ik roz ye afsāna
ġhusse meñ jo dī gaalī muñh chuum liyā maiñ ne
zālim ne kahā ye kyā maiñ ne kahā jurmāna
mutrib se ye kahtā thā 'hashr' apnī ġhazal sun kar
hai merī javānī kā bhūlā huā afsāna
han saqi-e-mastana bhar de mera paimana
ghanghor ghaTa hai ya uDta hua mai-KHana
hoti hain shab-e-gham mein yun dil se meri baaten
jis tarah se samjhae diwane ko diwana
kya tum ne kaha dil se kya dil ne kaha hum se
baiTho to sunaen hum ek roz ye afsana
ghusse mein jo di gali munh chum liya main ne
zalim ne kaha ye kya main ne kaha jurmana
mutrib se ye kahta tha 'hashr' apni ghazal sun kar
hai meri jawani ka bhula hua afsana
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 39)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.