han tera intizar baqi hai
haañ tirā intizār baaqī hai
ik umīd-e-bahār baaqī hai
bojh halkā kareñ kahāñ dil kā
kyā koī rāzdār baaqī hai
mil rahe haiñ gale vo dushman se
dil meñ ranjish kā ḳhaar baaqī hai
zindagī kā nasha to TuuT chukā
halkā halkā ḳhumār baaqī hai
vo jo chhup kar kareñge dost mire
bas vahī ek vaar baaqī hai
merā lashkar to TūT-phūT chukā
āḳhirī ye savār baaqī hai
khol lo tum bhī ik kafan kī dukāñ
ki yahī rozgār baaqī hai
har kahānī to ho chukī hai tamām
qissa-e-dār yaar baaqī hai
saare ḳheme to jal ke raakh hue
thoḌī chīḳh-o-pukār baaqī hai
tum ḳhatā.eñ to gin chuke merī
hasratoñ kā shumār baaqī hai
aur jitnī ruteñ thiiñ biit ga.iiñ
mausam-e-intizār baaqī hai
terī rahmat kā aasrā har dam
mere parvardigār baaqī hai
chain aa.egā kis tarah 'ābid'
jab dil-e-be-qarār baaqī hai
han tera intizar baqi hai
ek umid-e-bahaar baqi hai
bojh halka karen kahan dil ka
kya koi raazdar baqi hai
mil rahe hain gale wo dushman se
dil mein ranjish ka KHar baqi hai
zindagi ka nasha to TuT chuka
halka halka KHumar baqi hai
wo jo chhup kar karenge dost mere
bas wahi ek war baqi hai
mera lashkar to TuT-phuT chuka
aaKHiri ye sawar baqi hai
khol lo tum bhi ek kafan ki dukan
ki yahi rozgar baqi hai
har kahani to ho chuki hai tamam
qissa-e-dar yar baqi hai
sare KHeme to jal ke rakh hue
thoDi chiKH-o-pukar baqi hai
tum KHataen to gin chuke meri
hasraton ka shumar baqi hai
aur jitni ruten thin bit gain
mausam-e-intizar baqi hai
teri rahmat ka aasra har dam
mere parwardigar baqi hai
chain aaega kis tarah 'abid'
jab dil-e-be-qarar baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.