haar ho jati hai jab man liya jata hai
haar ho jaatī hai jab maan liyā jaatā hai
jiit tab hotī hai jab Thaan liyā jaatā hai
maan sammān bahut baa'd meñ miltā hai yahāñ
pahle is shahr meñ apmān liyā jaatā hai
fā.eda DhūñDne vaale ye tijārat na kareñ
'ishq ke saude meñ nuqsān liyā jaatā hai
ik jhalak dekh ke jis shaḳhs kī chāhat ho jaa.e
us ko parde meñ bhī pahchān liyā jaatā hai
paañv paḌte haiñ zamīñ par to dhaḌak jaatā hai dil
us kī aahaT se use jaan liyā jaatā hai
haar ho jati hai jab man liya jata hai
jit tab hoti hai jab Than liya jata hai
man samman bahut ba'd mein milta hai yahan
pahle is shahr mein apman liya jata hai
faeda DhunDne wale ye tijarat na karen
'ishq ke saude mein nuqsan liya jata hai
ek jhalak dekh ke jis shaKHs ki chahat ho jae
us ko parde mein bhi pahchan liya jata hai
panw paDte hain zamin par to dhaDak jata hai dil
us ki aahaT se use jaan liya jata hai
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 105)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.