haar kar bazi phir ek tadbir ho jaunga main
haar kar baazī phir ik tadbīr ho jā.ūñgā maiñ
tum samajhte ho yuuñ hī tasḳhīr ho jā.ūñgā maiñ
ishq meñ is ke savā maiñ kuchh nahīñ kar pā.ūñgā
hū-ba-hū jānāñ tirī tasvīr ho jā.ūñgā maiñ
saath chhūTegā nahīñ apnā safar meñ umr ke
rahguzar tū aur tirā rah-gīr ho jā.ūñgā maiñ
āyateñ mansūb haiñ tujh se rumūz-e-ishq kī
aur inhī āyāt kī tafsīr ho jā.ūñgā maiñ
ġham uThātā huuñ ġhazal kahtā huuñ jiitā rahtā huuñ
log kahte haiñ ki ik din 'mīr' ho jā.ūñgā maiñ
haar kar bazi phir ek tadbir ho jaunga main
tum samajhte ho yun hi tasKHir ho jaunga main
ishq mein is ke sawa main kuchh nahin kar paunga
hu-ba-hu jaanan teri taswir ho jaunga main
sath chhuTega nahin apna safar mein umr ke
rahguzar tu aur tera rah-gir ho jaunga main
aayaten mansub hain tujh se rumuz-e-ishq ki
aur inhi aayat ki tafsir ho jaunga main
gham uThata hun ghazal kahta hun jita rahta hun
log kahte hain ki ek din 'mir' ho jaunga main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.