haar ke KHud hi bikhar jaun kya
haar ke ḳhud hī bikhar jā.ūñ kyā
vaqt dushman hai to Dar jā.ūñ kyā
kyā karūñ faisla mañjdhār meñ huuñ
Duub jā.ūñ ki ubhar jā.ūñ kyā
ḳhauf jaane nahīñ detā us paar
haa.e is paar hī mar jā.ūñ kyā
naqsh-e-pā koī nahīñ jis jānib
biich lahroñ ke utar jā.ūñ kyā
bhuul kar mātam-e-taqdīr maiñ ab
kar ke duniyā se mafar jā.ūñ kyā
'nāzlī' kāñToñ bharī rāhoñ par
kar ke phir qasd-e-safar jā.ūñ kyā
haar ke KHud hi bikhar jaun kya
waqt dushman hai to Dar jaun kya
kya karun faisla manjdhaar mein hun
Dub jaun ki ubhar jaun kya
KHauf jaane nahin deta us par
hae is par hi mar jaun kya
naqsh-e-pa koi nahin jis jaanib
bich lahron ke utar jaun kya
bhul kar matam-e-taqdir main ab
kar ke duniya se mafar jaun kya
'nazli' kanTon bhari rahon par
kar ke phir qasd-e-safar jaun kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.