hashiye par likhi hui hun main
hāshiye par likhī huī huuñ maiñ
amn kī baat āḳhirī huuñ maiñ
maiñ vahīñ huuñ jahāñ mile the ham
kis qadar pīchhe rah ga.ī huuñ maiñ
us se kahnā thā bhuul jaao mujhe
phone par phone kar rahī huuñ maiñ
jab vo gahne dikhāne aatī hai
us ke sab chhed dekhtī huuñ maiñ
bech kar zevrāt shādī ke
chand ḳhushiyāñ ḳharīdtī huuñ maiñ
tum girā kar mujhe sambhal na sake
aur gir kar sambhal ga.ī huuñ maiñ
pattharoñ ko batā diyā hai nā
apne baabā kī lāDlī huuñ maiñ
hashiye par likhi hui hun main
amn ki baat aaKHiri hun main
main wahin hun jahan mile the hum
kis qadar pichhe rah gai hun main
us se kahna tha bhul jao mujhe
phone par phone kar rahi hun main
jab wo gahne dikhane aati hai
us ke sab chhed dekhti hun main
bech kar zewraat shadi ke
chand KHushiyan KHaridti hun main
tum gira kar mujhe sambhal na sake
aur gir kar sambhal gai hun main
pattharon ko bata diya hai na
apne baba ki laDli hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.