hasil dil-e-tabah ko rahat kabhi na ho
hāsil dil-e-tabāh ko rāhat kabhī na ho
ham ko ġham-e-firāq se fursat kabhī na ho
ab chauñktā nahīñ huuñ tumhāre sitam pe maiñ
ye bhī hai kyā maqām ki hairat kabhī na ho
gar hāl-e-dil sunā.eñ to kis ko sunā.iye
aisī to dushmanoñ kī bhī qismat kabhī na ho
ghabrā ke hādsāt se dāman bachā sake
itnī dil-e-tabāh kī jur.at kabhī na ho
ham muntazir hoñ aur gurezāñ hoñ bijliyāñ
aisī nigāh-e-nāz qayāmat kabhī na ho
qaa.em rahe ye rabt ġham-o-dard se 'nishā'
socheñ agar mafar kī bhī sūrat kabhī na ho
hasil dil-e-tabah ko rahat kabhi na ho
hum ko gham-e-firaq se fursat kabhi na ho
ab chaunkta nahin hun tumhaare sitam pe main
ye bhi hai kya maqam ki hairat kabhi na ho
gar haal-e-dil sunaen to kis ko sunaiye
aisi to dushmanon ki bhi qismat kabhi na ho
ghabra ke hadsat se daman bacha sake
itni dil-e-tabah ki jurat kabhi na ho
hum muntazir hon aur gurezan hon bijliyan
aisi nigah-e-naz qayamat kabhi na ho
qaem rahe ye rabt gham-o-dard se 'nisha'
sochen agar mafar ki bhi surat kabhi na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.