hasil-e-arz-e-muddaa kya tha
hāsil-e-'arz-e-mudda'ā kyā thā
sang-dil pe asar huā kyā thā
kuchh mirā dil hī rakh liyā hotā
varna ‘ahd-e-vafā tirā kyā thā
ham na sajda tujhe agar karte
ai sanam terā martaba kyā thā
yaad aane lagā musībat meñ
varna 'ishrat meñ vo ḳhudā kyā thā
har kahā aap kā sar āñkhoñ par
dūsrā kuchh bhī rāsta kyā thā
achchhoñ kī dekh lī hai achchhā.ī
ab buroñ meñ batā burā kyā thā
un kī nazr-e-karam huī tujh par
varna tū ai 'sadā' batā kyā thā
hasil-e-'arz-e-mudda'a kya tha
sang-dil pe asar hua kya tha
kuchh mera dil hi rakh liya hota
warna ‘ahd-e-wafa tera kya tha
hum na sajda tujhe agar karte
ai sanam tera martaba kya tha
yaad aane laga musibat mein
warna 'ishrat mein wo KHuda kya tha
har kaha aap ka sar aankhon par
dusra kuchh bhi rasta kya tha
achchhon ki dekh li hai achchhai
ab buron mein bata bura kya tha
un ki nazr-e-karam hui tujh par
warna tu ai 'sada' bata kya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.