hasil-e-hijr-o-intizar kahan
hāsil-e-hijr-o-intizār kahāñ
maiñ kahāñ aur vasl-e-yār kahāñ
tum agar ab sharīk-e-hāl nahīñ
ham bhī haiñ apne ġham-gusār kahāñ
ġham-nasībī kā ġham nahīñ lekin
ġham-nasīboñ kā e'tibār kahāñ
daur-daura hai be-qarārī kā
ab kisī ko kahīñ qarār kahāñ
dil kisī kaam meñ nahīñ lagtā
ab vo zauq-e-nashāt-e-kār kahāñ
vo to ik ittifāq thā shaukat
lazzat-e-dīd bār-bār kahāñ
hasil-e-hijr-o-intizar kahan
main kahan aur wasl-e-yar kahan
tum agar ab sharik-e-haal nahin
hum bhi hain apne gham-gusar kahan
gham-nasibi ka gham nahin lekin
gham-nasibon ka e'tibar kahan
daur-daura hai be-qarari ka
ab kisi ko kahin qarar kahan
dil kisi kaam mein nahin lagta
ab wo zauq-e-nashat-e-kar kahan
wo to ek ittifaq tha shaukat
lazzat-e-did bar-bar kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.