hasil-e-zist ishq hi to nahin
hāsil-e-zīst ishq hī to nahīñ
chashm-o-abrū hī zindagī to nahīñ
zulf-e-shab-rañg-o-chashm-e-sehr-andāz
ye bahut kuchh haiñ par yahī to nahīñ
mere lab tak tire taġhāful kī
baat aa.ī magar kahī to nahīñ
aap nārāz ho ga.e itnā
ye koī aisī baat bhī to nahīñ
kaT hī jā.egī ye bhī ai 'bāqar'
hijr kī raat dā.imī to nahīñ
hasil-e-zist ishq hi to nahin
chashm-o-abru hi zindagi to nahin
zulf-e-shab-rang-o-chashm-e-sehr-andaz
ye bahut kuchh hain par yahi to nahin
mere lab tak tere taghaful ki
baat aai magar kahi to nahin
aap naraaz ho gae itna
ye koi aisi baat bhi to nahin
kaT hi jaegi ye bhi ai 'baqar'
hijr ki raat daimi to nahin
- Book : Kulliyat-e-Baqir (Pg. 366)
- Author : Sajjad Baqir Rizvi
- Publication : Sayyed Mohammad Ali Anjum Rizvi (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.