Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hasil-e-zist ziya-e-KHat-e-taqdir ho tum

Ayaz Azmi

hasil-e-zist ziya-e-KHat-e-taqdir ho tum

Ayaz Azmi

MORE BYAyaz Azmi

    hāsil-e-zīst ziyā-e-ḳhat-e-taqdīr ho tum

    bazm-e-ehsās meñ bikhrī huī tanvīr ho tum

    kyā huā lab pe tabassum nahīñ dil-gīr ho tum

    kis musavvir banā.ī huī tasvīr ho tum

    uf ye qāmat ye qad-ārā.ī ye zebā.ish-e-rañg

    naqsh-e-mānī ho ki bahzād tasvīr ho tum

    apne hāthoñ se tarāshā hai tumhārā paikar

    phir bhī mere liye nā-qābil-e-tasḳhīr ho tum

    maiñ ne jis ḳhvāb se tanvīr-e-mohabbat hai

    kyā usī ḳhvāb ā.īna-e-ta.abīr ho tum

    yaad aatā hai ye dekhā hai ki dekhā bhī nahīñ

    saf.ha-e-zehn se utrī huī tahrīr ho tum

    TūTne ke nahīñ ġhaflat ke tilismāt 'ayāz'

    ālam-e-ḳhvāb meñ pā-basta-e-zanjīr ho tum

    hasil-e-zist ziya-e-KHat-e-taqdir ho tum

    bazm-e-ehsas mein bikhri hui tanwir ho tum

    kya hua lab pe tabassum nahin dil-gir ho tum

    kis musawwir ki banai hui taswir ho tum

    uf ye qamat ye qad-arai ye zebaish-e-rang

    naqsh-e-mani ho ki bahzad ki taswir ho tum

    apne hathon se tarasha hai tumhaara paikar

    phir bhi mere liye na-qabil-e-tasKHir ho tum

    main ne jis KHwab se tanwir-e-mohabbat li hai

    kya usi KHwab ka aaina-e-tabir ho tum

    yaad aata hai ye dekha hai ki dekha bhi nahin

    safha-e-zehn se utri hui tahrir ho tum

    TuTne ke nahin ghaflat ke tilismat 'ayaz'

    aalam-e-KHwab mein pa-basta-e-zanjir ho tum

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now