hath aage kiya aur dast-e-karam tham liya
haath aage kiyā aur dast-e-karam thaam liyā
sar jhukā paa.ī to palkoñ se haram thaam liyā
maiñ ne is duniyā ke dastūr se bāġhī ho kar
haq-o-insāf-o-mohabbat kā alam thaam liyā
haq ko bātil se milāte hue dekhā sab ko
kuchh na kuchh sach ke batāne ko qalam thaam liyā
nā-tavāñ zulm baḌhāte haiñ ye jaanā jab se
ḳhud pe uThtā huā har dast-e-sitam thaam liyā
zinda rahne kī tamanna meñ hai marnā mushkil
jānib-e-dār-o-rasan baḌhtā qadam thaam liyā
hath aage kiya aur dast-e-karam tham liya
sar jhuka pai to palkon se haram tham liya
main ne is duniya ke dastur se baghi ho kar
haq-o-insaf-o-mohabbat ka alam tham liya
haq ko baatil se milate hue dekha sab ko
kuchh na kuchh sach ke batane ko qalam tham liya
na-tawan zulm baDhate hain ye jaana jab se
KHud pe uThta hua har dast-e-sitam tham liya
zinda rahne ki tamanna mein hai marna mushkil
jaanib-e-dar-o-rasan baDhta qadam tham liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.