hath aaya hai sitamgar tu baDi ghat ke baad
hath aaya hai sitamgar tu baDi ghat ke baad
Master Basit Biswani
MORE BYMaster Basit Biswani
haath aaya hai sitamgar tū baḌī ghaat ke baad
sab batā dūñgā maiñ tujh ko magar ik baat ke baad
bosa-e-chashm talab maiñ ne kiyā ro ro kar
hañs ke farmāyā ki manzūr hai barsāt ke baad
un se kahtā huuñ sahar hotī hai ghabrāo nahīñ
dil meñ kahtā huuñ na ho din kabhī is raat ke baad
gulgule shoḳh ke muñh lag ga.e mullā ke zarūr
hoñT kyoñ chāTtā phirtā hai ḳhudā raat ke baad
aadmī hai ki hai aaseb ye kambaḳht raqīb
kah de aaya kare ghar tere jumerāt ke baad
hath aaya hai sitamgar tu baDi ghat ke baad
sab bata dunga main tujh ko magar ek baat ke baad
bosa-e-chashm talab main ne kiya ro ro kar
hans ke farmaya ki manzur hai barsat ke baad
un se kahta hun sahar hoti hai ghabrao nahin
dil mein kahta hun na ho din kabhi is raat ke baad
gulgule shoKH ke munh lag gae mulla ke zarur
honT kyon chaTta phirta hai KHuda raat ke baad
aadmi hai ki hai aaseb ye kambaKHt raqib
kah de aaya kare ghar tere jumeraat ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.