hath jab mausam ke gile ho gae hain
haath jab mausam ke giile ho ga.e haiñ
zaḳhm dil ke aur gahre ho ga.e haiñ
bāñTte the jo bahār-e-zindagānī
band ab vo bhī darīche ho ga.e
Duub jā.egā hamāre saath vo bhī
ye jo sochā haath Dhīle ho ga.e haiñ
laaj rakhnī paḌ ga.ī hai dostoñ kī
ham bharī mahfil meñ jhūTe ho ga.e haiñ
ai ġham-e-māzī tujhe maiñ nazr kyā duuñ
ḳhushk āñkhoñ ke kaTore ho ga.e haiñ
ab madad ḳhār-e-bayābāñ haiñ kareñge
sadd-e-rah pairoñ ke chhāle ho ga.e haiñ
so sakegā vo bhī 'aḳhtar' chain se ab
haath beTī ke jo piile ho ga.e haiñ
hath jab mausam ke gile ho gae hain
zaKHm dil ke aur gahre ho gae hain
banTte the jo bahaar-e-zindagani
band ab wo bhi dariche ho gae
Dub jaega hamare sath wo bhi
ye jo socha hath Dhile ho gae hain
laj rakhni paD gai hai doston ki
hum bhari mahfil mein jhuTe ho gae hain
ai gham-e-mazi tujhe main nazr kya dun
KHushk aankhon ke kaTore ho gae hain
ab madad KHar-e-bayaban hain karenge
sadd-e-rah pairon ke chhaale ho gae hain
so sakega wo bhi 'aKHtar' chain se ab
hath beTi ke jo pile ho gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.