hath ke sath tha charagh koi
haath ke saath thā charāġh koī
raat ke saath thā charāġh koī
raakh bikhrī huī thī hadd-e-nazar
maat ke saath thā charāġh koī
raushnī raushnī jo phailī hai
na.at ke saath thā charāġh koī
tīrgī meñ sabhī pukār uThe
baat ke saath thā charāġh koī
mere bujhte hī jalne lagtā thā
zaat ke saath thā charāġh koī
kar diyā rāz-e-tīrgī afshāñ
ghaat ke saath thā charāġh koī
us ke aane se ye khulā 'shahzād'
zaat ke saath thā charāġh koī
hath ke sath tha charagh koi
raat ke sath tha charagh koi
rakh bikhri hui thi hadd-e-nazar
mat ke sath tha charagh koi
raushni raushni jo phaili hai
nat ke sath tha charagh koi
tirgi mein sabhi pukar uThe
baat ke sath tha charagh koi
mere bujhte hi jalne lagta tha
zat ke sath tha charagh koi
kar diya raaz-e-tirgi afshan
ghat ke sath tha charagh koi
us ke aane se ye khula 'shahzad'
zat ke sath tha charagh koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.