hath Khaali hai koi kankar uTha
haath ḳhālī hai koī kankar uThā
aañkh se Thahrā huā manzar uThā
ḳhāmushī kā tantana hai har taraf
shor ye kaisā mire andar uThā
kyā nahīñ rakkhā thā mere sāmne
phir bhī sajde se na merā sar uThā
ab bhī mālā-māl hai merā hunar
sāmne se mere sīm-o-zar uThā
maiñ bahut nādim huuñ apne kaam se
merī miTTī se nayā paikar uThā
maiñ bhī dekhūñ merā qātil kaun hai
Dhak na de merā badan chādar uThā
hath KHali hai koi kankar uTha
aankh se Thahra hua manzar uTha
KHamushi ka tantana hai har taraf
shor ye kaisa mere andar uTha
kya nahin rakkha tha mere samne
phir bhi sajde se na mera sar uTha
ab bhi mala-mal hai mera hunar
samne se mere sim-o-zar uTha
main bahut nadim hun apne kaam se
meri miTTi se naya paikar uTha
main bhi dekhun mera qatil kaun hai
Dhak na de mera badan chadar uTha
- Book : Waraq-e-Saadah (Ghazals) (Pg. 90)
- Author : Hamdam Kashmiri
- Publication : Nai Sadi Adabi Society, Varansi (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.