hath Khaali the KHaridar hua tha us din
haath ḳhālī the ḳharīdār huā thā us din
maiñ ki rusvā sar-e-bāzār huā thā us din
haañ usī dar pe sadā phir se lagā.ī jaa.e
haañ usī dar se to inkār huā thā us din
merī ta.amīr meñ us kā bhī baḌā haath rahā
shaḳhsiyat par jo mirī vaar huā thā us din
ab to īmān se rangoñ pe na ḳhushbū pe yaqīñ
phuul chunñe kā gunahgār huā thā us din
ek chaTTān pe barsā thā ghaTā ban ke 'nizām'
kis nadāmat se maiñ do-chār huā thā us din
hath KHali the KHaridar hua tha us din
main ki ruswa sar-e-bazar hua tha us din
han usi dar pe sada phir se lagai jae
han usi dar se to inkar hua tha us din
meri tamir mein us ka bhi baDa hath raha
shaKHsiyat par jo meri war hua tha us din
ab to iman se rangon pe na KHushbu pe yaqin
phul chunne ka gunahgar hua tha us din
ek chaTTan pe barsa tha ghaTa ban ke 'nizam'
kis nadamat se main do-chaar hua tha us din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.