hath ki jumbish se mai chhalki paimane badnam hue
haath kī jumbish se mai chhalkī paimāne badnām hue
ḳhud pī pī kar duniyā bahkī maiḳhāne badnām hue
kūcha-e-ulfat meñ jo aayā kho ke numūd-o-nām gayā
dīvāne dīvāne Thahre farzāne badnām hue
hosh-o-ḳhirad ke charchoñ meñ likkhe kā bharam bhī qaa.em thā
dīda-o-dil kī bātoñ meñ ab afsāne badnām hue
shab biite jab sham-e-farozāñ kī zau-kārī ḳhatm huī
ḳhaak ke dhabboñ se shīshe par parvāne badnām hue
kuchh har bad-zan kuchh vo bad-zan doshī ab kis ko Thahrā.eñ
ulTī-sīdhī baat kī pach par yārāne badnām hue
bādiya-gardī ābla-pā.ī qismat thī dīvānoñ kī
kis baa.is ai vahshat-e-dil phir vīrāne badnām hue
daur nashīlī āñkhoñ kā to roke se bhī ruk na sakā
lekin chashm-e-kaif-āgīñ ke mastāne badnām hue
hath ki jumbish se mai chhalki paimane badnam hue
KHud pi pi kar duniya bahki maiKHane badnam hue
kucha-e-ulfat mein jo aaya kho ke numud-o-nam gaya
diwane diwane Thahre farzane badnam hue
hosh-o-KHirad ke charchon mein likkhe ka bharam bhi qaem tha
dida-o-dil ki baaton mein ab afsane badnam hue
shab bite jab sham-e-farozan ki zau-kari KHatm hui
KHak ke dhabbon se shishe par parwane badnam hue
kuchh har bad-zan kuchh wo bad-zan doshi ab kis ko Thahraen
ulTi-sidhi baat ki pach par yarane badnam hue
baadiya-gardi aabla-pai qismat thi diwanon ki
kis bais ai wahshat-e-dil phir virane badnam hue
daur nashili aankhon ka to roke se bhi ruk na saka
lekin chashm-e-kaif-agin ke mastane badnam hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.