hath malta hai pashiman-e-jafa mere baad
Interesting Fact
November 1930
haath maltā hai pashīmān-e-jafā mere baa'd
ḳhair yuuñ baḌh ga.ī tauqīr-e-vafā mere baa'd
ḳhud se mahjūb hai ḳhud un kī hayā mere baa'd
husn maġhmūm hai ma.azūr-e-adā mere baa'd
rañg lā.egī mirī āh-e-rasā mere baa'd
tum mujhe yaad karoge ba-ḳhudā mere baa'd
ho ga.e zard kaf-e-dast-e-nigārīñ afsos
ḳhair sarsabz to hai naḳhl-e-hinā mere baa'd
sogvārī meñ hasīnoñ ne baḌhā.e jhūle
kitnī be-kaif hai sāvan kī fazā mere baa'd
kyuuñ nadāmat se tah-e-ḳhāk gaḌā jaatā huuñ
tum ne kis dil se mujhe yaad kiyā mere baa'd
ab kahāñ haiñ vo lab-e-bām qamar ke jalve
un kī sūrat ko tarastī hai fazā mere baa'd
qabr par laa.e chaḌhāne ko mirī ā.īna
yuuñ uThī mayyat-e-andāz-o-adā mere baa'd
bhuul jaate haiñ vo ab roz lagānā mehñdī
roz pisne ko tarastī hai hinā mere baa'd
mar ke kyā chain mile ab ye ḳhalish hai 'tālib'
bā-vafā ban ga.e arbāb-e-jafā mere baa'd
hath malta hai pashiman-e-jafa mere ba'd
KHair yun baDh gai tauqir-e-wafa mere ba'd
KHud se mahjub hai KHud un ki haya mere ba'd
husn maghmum hai mazur-e-ada mere ba'd
rang laegi meri aah-e-rasa mere ba'd
tum mujhe yaad karoge ba-KHuda mere ba'd
ho gae zard kaf-e-dast-e-nigarin afsos
KHair sarsabz to hai naKHl-e-hina mere ba'd
sogwari mein hasinon ne baDhae jhule
kitni be-kaif hai sawan ki faza mere ba'd
kyun nadamat se tah-e-KHak gaDa jata hun
tum ne kis dil se mujhe yaad kiya mere ba'd
ab kahan hain wo lab-e-baam qamar ke jalwe
un ki surat ko tarasti hai faza mere ba'd
qabr par lae chaDhane ko meri aaina
yun uThi mayyat-e-andaz-o-ada mere ba'd
bhul jate hain wo ab roz lagana mehndi
roz pisne ko tarasti hai hina mere ba'd
mar ke kya chain mile ab ye KHalish hai 'talib'
ba-wafa ban gae arbab-e-jafa mere ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.